Beta tum pareshan mt ho..!


Aaj mai ek jaroori kaam se apne maam(teacher) ke paas gya. Mai kafi pareshaan tha unhone mera chehra dekha aur kaha “beta tum pareshaan mt ho mai hua na”. unke ye shabd mere liye amrit ke smaan hi the. actually
  hua ye tha ki mai ek kaam kr raha tha jisme mai fans gya aur mai kisi aise vyakti ke madat ke bina nahi kr sakta tha jise us kaam me mharat hasil na ho.

Meri maam usi subject ki teacher thi aur kafi dino se usi subjectko pda rahi thi. Esliye unhe meri Problem ke baare me pahle se anubhav tha. Lekin unhone meri direct help na karke mujhe thoda aur mehnat karne ko kaha. Maine thoda aur dimak lagaya lekin koi fayda nahi hua result wahi tha zero. Meri chinta kafi badne lagi fir meri maam ne mujhe chintit dekhkar mujhse baat ki  aur kaha beta ye koi badi problem nahi ese tum aasani se solve kr sakte ho esliye maine tumhari help jaldi se nahi kiya taki tum thodi aur mehnat karo.

Mujhe es tarah separesaan dekhkar unhe kafi Khushi hue ki mai apne kaam ke prati kitna emaandari se chalta hu. Fir unhone mere liye ek student se kahkar pani mangwaya aur peene ke liye kaha. Kyuki mai ab unke school ka passout student tha.  Mujhe pani pilane ke baad unhone meri problemko solve kr diya aur fir bataya ki agar mai turant tumhari problem solve kr deti to tum sayad apni problem ko khud na solve karke kisi na kisi se solve karwana chahte aur edhar udhar daud llagat rahte. Lekin mehnat karo aur apni problem khud hi solve karo agar tb bhi nahi solve ho par rahi hai to kisi ke pass jao.

Maine unse puchha maam kya “ kya kisi ki help lena glat baat hai” unhone kaha ki “ kisi ki help lena galat baat nahi hai balki kisi kaam ko khud se kiye bagair kisi aur se karvaana galat baat hai” unhone fir mujhse kaha ki “ tumne mehnat ki thi esliye maine tumhe kaha ki tum thodha aur mehnat karo kyuki jaha tumne haar maan li thi bs uske thodha hi aage tumhari jeet thi” esliye koi kaam karo to pura hi karo kyuki tum sab kuchh kr sakte ho bs tumhe thoda time lag skta hai lekin tum jaroor kar sakte ho.

Es kahanise siksha “ koi kaam jyada mushkil nahi hota hai. Aap jaha har maan lte ho uske thoda hi aage jeet hoti hai. Esliye koi kaam sachche dil aur puri siddat se karna chahiye.”

(Note : ye lekhak ki kalpna ki ek kahani matra hi hai. Kripya koi nirnay apne vivek se le.)

 

Post a Comment

New-Post